1947
mein 20 Lakh Punjabi marwa kar, 2 Caroor Punjabi displace karwa kar, Punjab ko
divide karwa kar Muslmano k liay jo Pakistan banaya gayaa tha wo 1971 mein East
Pakistan k Bangladesh bun jaanay k baad khatam ho gayaa.
Yeh
West Pakistan hy jis ka naam Pakistan rakh diya gayaa. Darassal 60%
Punjabi majority ki wajaah say West Pakistan ka naam Pakistan nahi balkay Punjabistan rakhna
chaheay tha. 1973 k constitution mein West Pakistan ka naam Kha Makhwa Pakistan rakh kar confusion paida kiya
gayaa.
Beherhaal,
ab kisi paraishani ki zaroorat nahi. Yeh Pakistan ya Punjabistan kahein nahi
jaata. Es nay aysay he rehna hy . Punjabi apni zameen ka aik inch bhe nahi
choora karta es liay es Punjabistan ya Pakistan say zameen ka aik inch bhe ab
alug nahi ho sakta.
Yeh
sub Muhajiron ka propaganda hy jo her waqt Pakistan khatray mein hy, Pakistan
toot jaana hy. Bengal ki tarha Pakistan ka falaan area Pakistan say alug ho
jaana hy ka roona rootay rehtay hain ta k Pakistan k awaam mein intashaar paida
ho.
Pakistan
k Non-Punjabi, Sindhi, Muhajir, Baloch, Pathan, es baat ka khiyaal rakhain k
Pakistan ko toornnay, Pakistan say alug honay k naaray maar kar ab Punjab aur
Punjabion ko blackmail karnay mein faaida aik takay ka nahi hoona balkay
nuqsaan boht ziyaada ho jaana hy kyon k Pakistan ab boht ziyaada taqatwar bhe
ho jaana hy aur mazboot bhe. Insha Allah.
No comments:
Post a Comment