Saturday 31 October 2015

Pakistan mein Hakomat PMLN ki hy ya Nawaz Sharif ki?

Pakistan mein na Nawaz Sharif ka apni family say bahir koe khaas social interaction hy aur na Nawaz Sharif ki zaati political party PMLN ka Pakistan ki awaam mein koe political structure hy laykun es k bawajood bhe Nawaz Sharif aur PMLN ki hakoomat hy tu es ki wajaah Punjabi Lobby hy jo Punjab k baad ab Pakistan ki federal government bhe Punjab aur Punjabi Dushmun Sindhi, Muhajir, Baloch, Pathan k haath nahi Dayna chahti.

Pakistan ka political atmosphere ethnic hojaanay ki wajaah say Nawaz Sharif ko na tu Sindhi Zardari hata sakta hy, na Urdu Speaking Hindustani Muhajir Altaf Hussain, na Baloch Sardar Zulfiqar Khosa aur na Pathan Imran Khan. Balkay, yeh sub mil kar bhe PMLN government nahi hata saktay.

Punjab ki national assembly mein 150 seats hain Jin mein say approximately;

80 seats Jat, Arain aur Rajput communities k political players hasil kartay hain.

30 seats Syed, Baloch aur Qureshi communities k political players hasil kartay hain.

25 seats Awan, Kashmiri, Pathan aur Sheikh communities k political players hasil kartay hain.

80+30+25=135 seats k baad baaqi buchti hain 15 seats, jo in 10 communities say bahir ki communities k political players hasil kartay hain.

Pakistan ki 60% population Punjabi hy jub k Pakistan ka political atmosphere ethnic hy. Political parties bhe regional ground par organize hain jub k community ya ethnicity k issues ki base par political activities karti hain.

Punjabi chon k Pakistan ki majority population hy aur Nawaz Sharif ko parliament mein support bhe Punjabi members of parliament ki hy es liay Sindhi, Pathan, Muhajir aur Baloch politicians aggar Nawaz Sharif ko hataana chahtay hain tu constitutional, democratic aur political way say Nawaz Sharif ko sirf ous waqt hataya ja sakay ga jub Nawaz Sharif ko hataanay ki movement ko Sindhi, Pathan, Muhajir aur Baloch politicians khud lead karnay k bajaay kisi Jatt, Arain ya Rajput politician ki leadership mein movement chalaein kyon k Punjabi Qoom ki teen sub say bari communities Jatt, Arain aur Rajput hain jub k Nawaz Sharif ki Butt community ko Kashmiri background Punjabi community mein shamal kiya jaata hy.

Sindhi, Pathan, Muhajir aur Baloch politicians ki Nawaz Sharif ko hataanay ki movement ko es liay Punjabi masses ki support nahi milni k Punjabiyon nay samajhna hy k Sindhi, Pathan, Muhajir aur Baloch politicians Punjabi Nawaz Sharif ko hata kar khud Punjabiyon par raaj karna chahtay hain aur maazi k tajarbaat ki wajaah say, Sindhi, Pathan, Muhajir aur Baloch politicians ka raaj Punjabi ab qabool karnay par tiyaar nahi.

Pakistan ka political atmosphere ethnic honay ki wajaah say, Punjabi chon k Sindhiyon, Pathano, Muhajiron aur Balochon ki leadership pasand nahi kartay es liay Sindhi, Pathan, Muhajir aur Baloch politicians ki taraf say Nawaz Sharif ki mokhaalfat karnay say Nawaz Sharif ko Punjabiyon ki mazeed support mil jaati hy aur Nawaz Sharif mazeed mazboot ho jaata hy.

Laykun......

PMLN k voters, followers, supporters, workers, officeholders, members of parliament, PMLN say maayoos hotay ja rahay hain.

Aur.....

Jis political party k voters bud-zun hon, followers bud-dil hon, supporters daikh rahay hon k party ki karkardgi theek nai, workers ko ahmiyat na ho, officeholders ko members of parliament consult na kartay hon, cabinet ministers ka elected members of parliament k sath co-operation na ho, party ka President party ki central aur provincial leadership k sath co-ordination mein na ho tu, na ous party ki government stable rehti hy aur na wo political party Toot Phoot ka shakaar honay say buchti hy.

Es waqt sorathaal yeh hy k......

PMLN say bud-zun voters, PMLN k followers ko bura bhala keh rahay hain.

PMLN say bud-dil followers, PMLN k supporters say gilay-shikway kar rahay hain.

PMLN ki karkardgi theek na honay ki wajaah say, PMLN k supporters, PMLN k workers say shakaaytein kar rahay hain.

PMLN k workers nazar undaaz kiay jaanay ki wajaah say, PMLN k officeholders say ehtajaaj kar rahay hain.

PMLN k officeholders, members of parliament k contact mein na rahnay ki wajaah say members of parliament say naraaz hotay ja rahay hain.

PMLN k members of parliament, cabinet ministers k co-operate na karnay ki wajaah say cabinet ministers ko na-pasund karnay lagay hai.

Es ki wajaah yeh hy k.....

PMLN ka President PMLN ki central aur provincial leadership k sath co-ordination rakhnay k bajaay Family aur Friends k sath he contact rakh raha hy jis ki wajaah say government disable ho rahi hy aur PMLN Toot Phoot ka shakaar honay ja rahi hy.

Aggar.......

Nawaz Sharif nay November 2015 mein apnay cabinet ministers ki performance aur December 2015 mein members of parliament ki progress theek kar k, January 2016 mein party officeholders ko activate aur February 2016 mein party workers ko effective kar k March 2016 tak PMLN k supporters, followers, voters aur general public ko satisfy kar diya tu 2018 mein election hongay aur PMLN nay phir say public mandate lay kar government bunna layni hy.

Warna.......

April 2016 say PMLN ki government nay fragile hoona aur party k fragments hoona shoro ho jaanay hain. Jis ki wajaah say na PMLN government say tenure complete ho paana hy aur na PMLN ki reorganization ho paani hy.

No comments:

Post a Comment