Pakistan k buntay he Sindhi Jinnah k
Governor General of Pakistan, UP k Urdu speaking, Liaquat Ali Khan k Pakistan
ka Prime Minister, Urdu speaking, UP k Khawaja Nazimuddin k Pakistan ki ruling
party ka President bun jaanay ki wajaah say aur Pakistan ki sub say baari
nation Bengali aur second baari nation Punjabi ko Pakistan ki governance mein
national level ki koe bhe bari post na daynay ki wajaah say, Pakistan k buntay
he Pakistan ki federal bureaucracy aur establishment par Hindustaniyon (Urdu
speaking, UP, CP people of Gunga Jumna) nay apni domination qaim kar lee thi jo
Musharraf k martial law k daur tak ka daur Urdu speaking UP, CP bureaucracy aur
establishment ka sonehra daur tha laykun Sindhi Zardari k Pakistan ka President
rehnay tak bhe yeh apnay urooj par rahi.
Panjani establishment nay tu 1975 mein
General Zia-ul-Huq k Pakistan ki Army ka pehla Punjabi Army Chief bunnay k baad
wajood mein aana shoro kiya.
Ab Pakistan
mein pehli baar Pakistan
ka Prime minister bhe Punjabi hy aur Army Chief bhe Punjabi. President of Pakistan
ab bhe UP ka Urdu speaking Hindustani hy . Opposition mein Sindhi Zardari aur
Pathan Imran Khan hy . Bureaucracy aur establishment par 1947 say qaim Urdu
speaking UP, CP establishment ki domination physically kum ho rahi hy laykun
Urdu speaking UP, CP mind-set ki domination ab bhe hy jis ko khatam karnay k
liay Punjabi nationalists struggle kar rahay hain. Ab dykhna yeh hy k Sindhi,
Pathan, Baloch, Punjabi nationalists k sath confrontation kar k Urdu speaking UP,
CP mind-set ki domination ko qaim rakhnay ki koshish kartay hain ya neutral
role play kartay hain.
No comments:
Post a Comment