Saturday 31 October 2015

Muhajir Pakistan Mein Military Rule Kyon Chahtay Hain?

Punjabi Pakistan ki population ka 60% aur Sindhi 12% hain, es liay Pakistan level per Punjabi aur Sindh level per Sindhi ko democracy suit kerti hy laykun, UPite (Urdu Bolnay walay Hindustani) chon k Pakistan mein sirf 8% hain, jo k Karachi k elaawa Sindh aur Punjab k baray baray cities mein bhe rehtay hain, es liay Punjab aur Sindh mein bikhray hoay honay ki wajaah Democratic system mein UPite (Urdu Bolnay waalay Hindustani) k elect ho kar Pakistan aur Sindh per Rule karnay ka imkaan tu rehta he nahein.

Yeh he wajah thi k first Prime Minister of Pakistan, Liaquat Ali Khan k waqt say, (jo k Pakistan ka elected nahein bulkay Nominated Prime Minister Tha) Liaquat Ali Khan k liay aur constitutional assembly k UP-ites Members k liay, constituencyaan bananay k liay, 1950 mein Liaquat Ali Khan nay India k Prime Minister Jawaharlal Nehru k sath pect kar k jis ko Liaquat-Nehru Pect kaha jaata hy, UP, CP, Bihar say Urdu Bolnay waalay Hindustaniyon ko Karachi aur Sindh wa Punjab k dosray cities mein la kar Sarkari Nokriyan aur Calaim day kar abaad kiya, jo aaj Sindh aur Sindhiyon k liay barbaadi ka sabub banay hoay hain.

Punab mein, khas tour per Punjab k cities Lahore, Multan aur Rawalpindi mein tu UP, CP walay, yaani Urdu Bolnay walay Hindustani, jin ko Punjabi Matarwa kehtay hain, Punjab par 1849 mein British k qabzay k waqt say abad hotay aa'ay hain. Jo aaj Punjab aur Punjabion k liay tabahi ka sabub banay hoay hain.

UP Walon (Urdu Bolnay walay Hindustani) ki tarf say Pakistan k qiyaam say lay ker yeh propaganda chala aa raha hy k "Pakistan Mein Dictatorship Honi Chaheay, Democracy Nahein", UPite Politicians, Journalists, Intellectuals, Government Servants, Skilled Professionals, Trade and Business related Urdu Speaking Hindustani nay yeh bar bar kar k bhe dekhaya, jis k liay inhon nay "Punjab Aur Fooj" ko "Pakistan aur Islam" k khatray mein honay ka shoor machaa machaa kar aur "Fooj aur Punjab" ko "Pakistan aur Islam ko Bachanay ka Wahid Zariyaa" karar day day kar khob "Baywaqoof Banaya aur Martial Law k lugnay k baad Technocrat ki Hakomat bunwa kar Pakistan k urban areas mein rehnay, urban areas ki politics mein active honay, journalism, government services, skilled professions, trade bussines par domination honay ki bina par Dictatorial Governments mein shaamal ho kar Pakistan ki policy-making aur decision-taking par apna control qaim rakha.

No comments:

Post a Comment