Thursday 29 October 2015

Pakistan 2020 k Baad kysa Hooga?

 Pakistan ki majority population Punjabi hy. Punjab, Pakistan ka 62% population waala province hy.

 Punjab secular rehta tu na Punjab divide hoota, na Pakistan bunta. Punjab secular bun gayaa tu Punjab nay phir say unite ho jaana hy. Balkay, Greater Punjab bun jaana hy. (Pakistan + Khalistan + Huryanistan = Greater Punjab).

 Pakistan par raaj karnay k liay UP, CP waalon nay Punjab ko secular say religious Punjab bunna kar Punjabi Qoom ko aapas mein lurwaaya, 20 lakh Punjabi marwaay, Punjab ko divide karwaaya, 2 croor Punjabi displace karwaay, jis k liay, Devobundi, Brailvi aur Aligarh ki tiyaar karda UP, CP waalon ki khyp nay sazishi aur sharaarti kirdaar adda kiya.

 Pakistan k bunnay k baad Urdu Speaking Hindustani Maulana Maududi nay Lahore mein dairay daal kar Punjabiyon ko secular bunnay say rooknay aur Punjabi Qoom k khalaaf sazishon ka kaam jaari rakha.

 Ab Pakistan ko bunny 67 years bhe ho gaay hain aur Punjabiyon ko UP, CP waalon ki Islam k labaaday mein sazishon aur sharaarton ka bhe illam hota ja raha hy.

 Jub k....

 Sindhi aur Baloch ki aik tu national level ki politics karnay ki salaahiyat nahi, doosra Islam ko as a political tool istamal nahi kartay.

 Pathano mein Punjab par qabza karnay k liay Muslman ka roop dhaarnay ki aadat rahi hy aur Punjab par qaabaz honay k baad phir say Pathan bun kar Punjab ko loot-tay rahay hain, es say bhe Punjabi achi tarha agaah ho chukay hain.

 Es liay....

 Ab 2020 tak Pakistan par Punjabiyon nay total control kar layna hy. Sindhiyon aur Balochon nay Punjabi Qoom k sath apna interaction theek kar lyna hy jub k UP, CP waalon aur Pathano ki bud bukhti aa jaani hy.

No comments:

Post a Comment