Saturday 31 October 2015

Pakistan Ko Religious State Rakhna Hy Ya Secular State Bunaana Hy?

Pakistan ki 97% population Muslim hy. Jo k 60% Punjabi, 12% Sindhi, 8% Pathan, 4% Baloch nations aur 16% chotay chotay tribes par moshtamal hy.

Pakistan ko aggar 97% Muslim population k honay k bawajood Religious state nahi rakhna tu phir Pakistan ko Religion k bajaay Nation ka state bunaana paray ga.

Laykun Pakistan chon k homogeneous nation k bajaay heterogeneous nations ka state hy es liay Pakistan ko Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch nations ka state bunaana paray ga. Jis k liay sub say pehlay Pakistan mein Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch nations ki language, culture aur traditions ko own karna paray ga.

Laykun, Pakistan ko aggar sirf aik he nation ka Secular State rakhna hy tu Pakistan ki 60% population Punjabi hy. Es liay Pakistan ki majority nation Punjabi honay ki wajaah say Pakistan ko Punjabi nation k state k tour par accept karna paray ga. Jis k liay Punjabi nation ki language, culture aur traditions ko own karna paray ga. Jub k Pakistan k Muslim population ka Religious state honay k bajaay Punjabi Nation ka Secular state honay ki wajaah say, 1947 mein religious fundamentalism ki wajaah say, religious ground par divide ho jaanay waali Punjabi nation aur Punjabi nation ki land ko, Pakistan k secular ho jaanay ki wajaah say phir say unite honay dayna paray ga.

No comments:

Post a Comment