Thursday 29 October 2015

Pakistan Ki Future Politics Kya Hogi?

Pakistan ka atmosphere ethnic ho chuka hy. Es liay election mein political parties ko vote dainay ka rawaaj bhe ethnic ground par ho chuka hy.

PPP Sindhi party bun chuki hy. Punjab mein kon sa Sindhi rehtay hain. Es liay, PPP ka Punjab mein kya kaam?

Rural Sind ki 41 seats, Sindhi seats hain. In seats par PPP jaanay ya Sindhi jaanain.

Karachi ki 20 seats par MQM jaanay ya Muhajir jaanain.

Baluchistan ki 14 seats par BNP jaanay ya Baloch jaanain.

Punjab ki 150, KPK aur FATA ki 47 seats, total 197 seats Punjabi aur Pathan areas ki hain.

Punjab par Ahmed Shah Abdali ki hukmaraani rehnay ki wajaah say, Punjab par qabza kar k Sarmayaadar bun jaanay waalay aur hukmaraani ka shooq rakhnay waalay Pathan khandaan bhe boht hain, jo Punjabi boltay hain aur aik baar phir say Punjab aur Punjabi Qoom par waisay he qabza karna chahtay hain, jaisay Ahmed Shah Abdali nay kiya tha.

KPK Aur FATA par Maharaja Ranjeet Singh ki hukmaraani rehnay ki wajaah say, KPK aur FATA par qabza kar k Sarmayaadar bun jaanay waalay aur hukmaraani ka shooq rakhnay waalay Punjabi khandaan bhe boht hain, jo Pushto boltay hain aur aik baar phir say KPK, FATA aur Pathan Qoom par waisay he qabza karna chahtay hain, jaisay Maharaja Ranjeet Singh nay kiya tha.

Politics assal mein power haasil karnay ka naam hy. Lugta tu yeh he hy k Sindhi k pass sirf 41 seats, Muhajir k pass sirf 20 seats aur Baloch k pass sirf 14 seats honay ki wajaah say aur Sindhi, Muhajir, Baloch ka Punjabi areas ki 150 seats aur Pathan areas ki 47 seats par assar na honay ki wajaah say, future mein Sindhi, Muhajir ya Baloch leader ko power haasil karnay k liay Pakistan ki federal government nahi millay gey.

Federal government bunaanay k liay national assembly ki 272 mein say 137 seats chaheain.

Punjabi areas ki 150 seats aur Pathan areas ki 47 seats honay ki wajaah say Punjabiyon ki party ya Pathano ki party mein say jo bhe 137 seats layga, federal government bunna lay ga.

Es waqt Punjabiyon ki party PMLN hy aur Pathano ki party PTI hy. PMLN aur PTI ka interest Punjabi areas ki 150, Pathan areas ki 47 seats, total 197 seats mein hy.

Punjabiyon ki party PMLN aur Pathano ki party PTI ko Sindhi ki 41 seats, Muhajir ki 20 seats aur Baloch ki 14 seats say es liay interest nahi hy k, Sindhi ki 41 seats, Muhajir ki 20 seats aur Baloch ki 14 seats k leaders k pass Punjabiyon ki party ya Pathano ki party k sath cooperation karnay k elaawa dosra option nahi hy. Kyon k politics mein neutral nahi raha ja sakta.

No comments:

Post a Comment